Dhuu.NDhaa jise vo kahaa.N hai - - Vivek Garud
- Movie: non-Film
- Singer(s): Vivek Garud
- Music Director: Dhinchak
- Lyricist: Khursheed
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: 2002, 2000s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
Dhuu.NDhaa jise vo kahaa.N hai kahaa.N hai, vo kahaa.N hai -4
chaaro.n taraf dhuaa.N hai, dhuaa.N hai, vo kahaa.N hai - 2
Dhuu.NDhaa jise ...
dil hai dil me.n vo nahii.n
chaahat kaa jaaduu nahii.n
phuulo.n me.n Khushbuu nahii.n>
ab kyaa hogaa? karuu.N mai.n kyaa, taubaa! -2
zindagii pe ab chaaii Khizaa.N hai, vo kahaaN hai -2
Dhuu.NDhaa jise ...
aramaano.n kaa kar ke Khuu.N
ba.Dh rahaa hai had se junuu.N
kho gaye hai.n chain-o-sukuu.N
ab kyaa hogaa? karuu.N mai.n kyaa, taubaa! -2
dil me.n ye ik dard rawaa.N hai, vo kahaa.N hai? -2
Dhuu.NDhaa jise vo kahaaN hai kahaa.N hai, vo kahaa.N hai -2
o ho ho ...
Comments/Credits:
% Transliterator: Neha Desai % Date: 7th October 2002