dekho mausam kyaa bahaar hai
- Movie: Opera House
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Mukesh
- Music Director: Chitragupt
- Lyricist: Majrooh Sultanpuri
- Actors/Actresses: Ajit, K N Singh, Maruti, Niranjan Sharma, B Saroja Devi, Baalam
- Year/Decade: 1961, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
mu : dekho mausam
la : kyaa bahaar hai
mu : saaraa aalam
la : beqaraar hai
mu : aise me.n kyuu.N ham
la : diivaane ho jaa_e.n naa
chhalakii-chhalakii
mu : chaa.Ndanii bhii hai
la : halkii-halkii
mu : bekhudii bhii hai
la : aise me.n kyuu.N ham
mu : yahii.n par kho jaa_e.n naa
la : gaatii sii har saa.Ns me.n bajatii sii shahanaa_iyaa.N
mu : saayaa dil pe Daalatii taaro.n kii parachhaa_iyaa.N
la : jhaa.nke chandaa
mu : aasamaan se
la : chhe.De hamako
mu : jaan-jaan ke
la : aise me.n kyuu.N ham ...
mu : dariyaa kii har mauj me.n aramaano.n kaa zor hai
la : dilavaalo.n ke giit kaa lahakaa-lahakaa shor hai
mu : lahare.n Dole.n
la : jhuum-jhuum ke
mu : saahil kaa mu.Nh
la : chuum-chuum ke
mu : aise me.n kyuu.N ham ...