Browse songs by

dekhaa hai zi.ndagii ko kuchh itanaa kariib se

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

dekhaa hai zi.ndagii ko, kuchh itanaa kariib se
chahare tamaam lagane lage hai.n ajiib se

kahane ko dil kii baat jinhe.n Dhuu.NDhate the ham - 2
mahafil mei.n aa gaye hai.n vo apane nasiib se
dekhaa hai zi.ndagii ko, kuchh itanaa kariib se

niilam ho rahaa thaa kisii naazaniin kaa pyaar - 2
qiimat nahii.n chukaaii gaii ik Gariib se
dekhaa hai zi.ndagii ko, kuchh itanaa kariib se

terii vafaa kii laash pe laa mai.n hii Daal duu.N - 2
resham kaa ye kafan jo milaa hai raqiib se
dekhaa hai zi.ndagii ko, kuchh itanaa kariib se

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Date: 06/13/1996
% Credits: Manjeet Rekhi 
%          Samiuddin Mohammed 
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image