Browse songs by

chiTThii aaii hai aaii hai chiTThii aaii hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

chiTThii aaii hai aaii hai chiTThii aaii hai -2
chiTThii hai vatan se chiTThii aayii hai
ba.De dino.n ke baad, ham bevatano.n ko yaad -2
vatan kii miTTii aaii hai, chiTThii aaii hai ...

uupar meraa naam likhaa hai.n, a.ndar ye paigaam likhaa hai.n -2
o parades ko jaane vaale, lauT ke phir naa aane vaale
saat samu.ndar paar gayaa tuu, hamako zi.ndaa maar gayaa tuu
khuun ke rishte to.D gayaa tuu, aa.Nkh me.n aa.Nsuu chho.D gayaa tuu
kam khaate hai.n kam sote hai.n, bahut zyaadaa ham rote hai.n, chiTThii ...

suunii ho gaI.n shahar kii galiyaa.N, kaa.nTe ban gaI.n baag kii kaliyaa.N -2
kahate hai.n saavan ke jhuule, bhuul gayaa tuu ham nahii.n bhuule
tere bin jab aaii diivaalii, diip nahii.n dil jale hai.n khaalI
tere bin jab aaii holii, pichakaarii se chhuuTii golii
piipal suunaa panaghaT suunaa ghar shamashaan kaa banaa namuunaa -2
fasal kaTii aaii baisaakhii, teraa aanaa rah gayaa baakii, chiTThii ...

pahale jab tuu Kat likhataa thaa kaagaz me.n cheharaa dikhataa thaa -2
ba.nd huaa ye mel bhii ab to, khatam huaa ye khel bhii ab to
Dolii me.n jab baiThii bahanaa, rastaa dekh rahe the nainaa -2
mai.n to baap huu.N meraa kyaa hai, terii maa.N kaa haal buraa hai
terii biivii karatii hai sevaa, suurat se lagatii hai.n bevaa
tuune paisaa bahut kamaayaa, is paise ne desh chhu.Daayaa
pa.nchhii pi.njaraa to.D ke aajaa, desh paraayaa chho.D ke aajaa
aajaa umar bahut hai chhoTii, apane ghar me.n bhii hai.n roTii, chiTThii ...

Comments/Credits:

			 % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Asvinder Singh (SINGHAS@gunet.georgetown.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image