chiin\-o\-arab hamaaraa, hindostaa.N hamaaraa
- Movie: Phir Subah Hogi
- Singer(s): Mukesh
- Music Director: Khaiyyam
- Lyricist: Sahir Ludhianvi
- Actors/Actresses: Raj Kapoor, Mala Sinha, Rehman
- Year/Decade: 1958, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

% Bismil@Delphi comments :-
% This song is a very very clever take-off of Iqbal's
% Tarana-e-milli. Just to show what a clever parody this is of
% Iqbal, the first verse of Taraanaa-e-milli goes as follows:
% Chiin-o-arab hamaaraa hi.ndostaa.N hamaaraa
% muslim hai.N ham vatan hai saaraa jahaa.N hamaaraa
% The real beauty of the first verse is that it turns around Iqbal's
% arguably communal and national hymn into a cry of of the
% oppressed and anguished that is neither communal nor
% chauvinist nor nationalist, but internationalist. Parts are also
% recognizable as being borrowed from Iqbal's hymn of INDIAN
% nationalism, "Taraana-e-Hind". Some of the references are
% easily identifiable, especially to Indians who know
% "saare jahaa.N se achchhaa".
% e.g. ai aab-e-rud-e-Ganga, vo din yaad hai tujhako
% utaraa tere kinaare jab kaarawaa.N hamaaraa?
% To which the parody goes "sa.Dako.n pe ghuumataa hai ab kaarawaa.N hamaaraa"
% or the final line to "saare jahaa.N" which most people don't
% know, goes as follows: "'iqbal' ko_ii maharuum apanaa nahii.n jahaa.N me.n
% maa'luum kyaa kisii ko dard-e-nihaa.N hamaaraa"
% Here, of course, it is "milatii nahii.n majoorii,
% maa'luum kyaa kisii ko dard-e-nihaa.N hamaaraa"
% or, from taraana-e-milli, the line goes:
% ai gulistaan-e-andalus, voh din yaad hai tujhako
% thaa terii Daaliyo.n me.n jab aashiyaa.N hamaaraa?
% contrast that with "fuuTapaath bambaii ke hai.n aashiyaa.N hamaaraa"
% Overall, it seems that the song takes a somewhat dim view of
% the lofty and grandiose nationalism of Iqbal by presenting some
% home-truths about real present day life.
chiin-o-arab hamaaraa, hindostaa.N hamaaraa
rahane ko ghar nahii hai, saaraa jahaa.N hamaaraa
chiin-o-arab hamaaraa ...
kholii bhii chhin gaI hai, benche.n bhii chhin gaI hai.n
sa.Dako.n pe ghuumataa hai ab kaaravaa.N hamaaraa
jebe.n hai.n apanii khaalii, kyo.n detaa varanaa gaalii
vo santarii hamaaraa, vo paasabaa.N hamaaraa
chiin-o-arab hamaaraa ...
jitanii bhii bilDi.nge.n thii.n, seTho.n ne baa.NT lii hai.n
fuTapaath bamba_ii ke hai.n aashiyaa.N hamaaraa
sone ko ham kalandar, aate hai.n borii bandar
har ek kholii yahaa.N hai raazadaa.N hamaaraa
chiin-o-arab hamaaraa ...
tAliim hai adhuurii, milatii nahii majuurii
maaluum kyaa kisIko, dard-e-nihaa.N hamaaraa
chiin-o-arab hamaaraa ...
patalaa hai haal-e-apanaa, lekin lahuu hai gaa.Dhaa
phaulaad se banaa hai, har naujavaa.N hamaaraa
mil-julake is vatan ko, aisaa sajaaye.nge ham
hairat se mu.Nh takegaa saaraa jahaa.N hamaaraa
chiin-o-arab hamaaraa ...
Comments/Credits:
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: (BISMIL@DELPHI.COM) % Preetham Gopalaswamy (preetham@eng.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
