Browse songs by

chhe.D de sajanii ... jinakii jawaanii unakaa zamaanaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

kaa: chhe.D de sajanii wohii taraanaa
sho: kaun saa, saajan?
kaa: jinakii jawaanii unakaa zamaanaa
bo: jinakii jawaanii unakaa zamaanaa

sho: saajan, prem ke miiThe sapane
kaa: dil leke ban jaa_o apane
mai.n kahuu.N pagalii, tum kaho diwaanaa
bo: jinakii jawaanii unakaa zamaanaa

sho: phuul khile hai.n Daalii Daalii
kaa: kitanaa khush hai man kaa maalii
naachat titalii bhau.nraa mastaanaa
bo: jinakii jawaanii unakaa zamaanaa

kaa: dono jawaa.N dono kamasiin hai.n
khul gaye ab unake din hai.n
dekh ke unako jii na jalaanaa
bo: jinakii jawaanii unakaa zamaanaa

Comments/Credits:

			 % Date: 27 Oct 2002
% Comments: The song is based on Raag Durga.
%   Film - 'Holiday in Bombay' urf 'Bambai ki sair'
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image