chham chham naachat aaii bahaar
- Movie: Chhaya
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Salil Choudhary
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Sunil Dutt, Asha Parekh
- Year/Decade: 1961, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
chham chham naachat aaI bahaar - 2
paaT paaT ne lii anga.DaaI
jhuum rahii hai Daar Daar
chham chham naachat aaI bahaar - 2
(mahak rahii hai phulavaarii
nikharii kyaarii kyaarii ) - 2
phuul phuul par joban aayaa
kalii kalii ne kiyaa si.ngaar
chham chham naachat aaI bahaar - 2
(man matavaaraa Dole
jaane kyaa kyaa bole ) - 2
naI navelii aashaa jaagii
jhuumat manavaa baar baar
chham chham naachat aaI bahaar - 2
Comments/Credits:
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Dinesh K. Prabhu (prabhu@amelia.nas.nasa.gov) % Rajan P. Parrikar (parrikar@mimicad.Colorado.EDU) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)