chhaa_ii kaarii badariyaa bairaniyaa ho raam
- Movie: Jeevan Jyoti
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Asha Bhonsle
- Music Director: S D Burman
- Lyricist: Sahir Ludhianvi
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: 1953, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
chhaa_ii kaarii badariyaa bairaniyaa ho raam
ghan badaraa gaganavaa jhukan laagii ho
more sajanaa bidesiyaa ko na aaye ho
chhaa_ii kaarii badariyaa ...
jhulano pe gaavan kii rut aa_ii re
ratiyaa.N jagaavan kii rut aa_ii re
kachhu kho ke paavan kii rut aa_ii re
more sajanaa bidesiyaa ko na aaye ho
chhaa_ii kaarii badariyaa ...
jaave koii pii ko laave sakhii
akele me.n kachhu naahi bhaave sakhii
haay! puravaa pavan jii jalaave sakhii
more sajanaa bidesiyaa ko na aaye ho
chhaa_ii kaarii badariyaa ...
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar