Browse songs by

cheharaa chhupaa liyaa hai kisii ne hijaab me.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ma: cheharaa chhupaa liyaa hai kisii ne hijaab me.n
jii chaahataa hai aag lagaa duu.N naqaab me.n

sa: bijalii thii ik jo ham ne chhupaa lii naqaab me.n
lag jaatI varanaa aag tumhaare shabaab me.n

ma: ham husn ke paravaane jalane se nahii.n Darate
anjaam-e-mohabbat kii paravaah nahii.n karate
ik baar hii dete hai.n dil apanaa hasiino.n ko
ik baar hii marate hai.n sau baar nahii.n marate

sa: paravaane se pahale jalii aur paravaane ke saath jalii
vo to jalaa bas pal do pal shamaa to saarii raat jalii

ek paravaanaa jalaa ik kadar shor machaa
shamaa chupachaap jalii lab pe shikavaa na Gilaa
kyaa hai jalane kaa mazaa husn se puuchho zaraa

kyo.nki

paravaane ko jal jaanaa ham ne hii sikhaayaa hai
vo tab hi jalaa ham ne jab Kud ko jalaayaa hai
aashiq kii jaan ishq me.n jaane se peshtar
Kud husn DUbataa hai vafaa ke chanaab me.n

ko: chehara chhupaa liyaa ...

sa: gar husn nahii.n hotaa ye ishq kahaa.N hotaa
phir kis se vafaa karate phir kis kaa vafaa hotaa

ma: takaraar se kyaa haasil kuchh bhii na huaa hotaa
gar tum na hasii.n hote gar mai.n na javaa.n hotaa
jis roz se is husn kaa diidaar kiyaa hai
bas pyaar kiyaa pyaar kiyaa pyaar kiyaa hai

sa: ye jhuuTh hai ki tum ne hame.n pyaar kiyaa hai
ham ne tumhe.n zulfo.n me.n giraftaar kiyaa hai

ma: tum husn ho ham ishq hai
sa: gar tum nahii.n to ham nahii.n
ma: hai baat sachchii bas yahii koii kisii se kam nahii.n
sa: hai baat sachchii bas yahii koii kisii se kam nahii.n
ma: ek naGamaa hai ek raag hai
sa: dono.n taraf ek aag hai
ma: tum se hame.n shikavaa bhii hai phir bhii aap se pyaar hai
sa: tum bin hame.n kab chain ham ko bhii ye iqaraar hai

ma: dekhe to hosh gum ho na dekhe to hosh gum
ye pha.Ns gaii hai jaan merii kis adaab me.n

ko: cheharaa chhupaa liyaa ...

Comments/Credits:

			 % Editor: Rajiv Shridhar 
% Date: 04/22/1997
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image