Browse songs by

cha.ndaa re cha.ndaa re, kabhii to zamii.n par aa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ha : cha.ndaa re cha.ndaa re
kabhii to zamii.n par aa
baiThe.nge, baate.n kare.nge
tujhako aate idhar
laaj aaye agar
o.Dh ke aajaa, tuu baadal ghane

gulashan, gulashan, vaadii vaadii, bahatii hai resham jaisii havaa
ja.ngal ja.ngal, parvat, parvat, hai.n nii.nd me.n sab ik mere sivaa
cah.ndaa, cha.ndaa
aajaa sapano.n kii niilii nadiyaa me.n nahaaye.n
aajaa ye taare chunake ham, ghaar banaa_e.n
in dhu.Ndhalii dhu.Ndhalii raaho.n me.n, aa dono.n hii kho jaa_e.n

saa : cha.ndaa re, cha.ndaa re
kabhii to zamii.n par aa
baiThe.nge baate.n kare.nge
tujhako aate idhar
laaj aaye agar
o.Dh ke aajaa tuu baadal ghane

cha.ndaa se puuchhe.nge ham, saare savaal niraale
jharane kyo.n gaate hai.n, pa.nchhii kyo.n matavaale
ha : ho, kyo.n hai saavan mahiinaa ghaTaa_o.n kaa
cha.ndaa se puuchhe.nge ham saare savaal niraale
saa : cha.ndaa, cha.ndaa
titalii ke par kyo.n itane ra.ngiin hote hai.n
juganuu raato.n me.n jaage, to kab sote hai.n
ha : in dhu.Ndhalii-dhu.Ndhalii raaho.n me.n, aa dono.n hii kho jaae_.n

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image