Browse songs by

chaman me.n ra.ng\-e\-bahaar utaraa to mai.nne dekhaa - - Ghulam Ali

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

chaman me.n ra.ng-e-bahaar utaraa
to mai.nne dekhaa, to mai.nne dekhaa
nazar se dil kaa Gubaar utaraa
to mai.nne dekhaa, to mai.nne dekhaa

mai.n niim-shab aasamaa.N kii wus_at ko dekhataa thaa
zamii.n pe wo husn-e-zaar utaraa
to mai.nne dekhaa, to mai.nne dekhaa

%shers not part of this gazal
ba.De wusuuK se duniyaa fareb detii hai
ba.De Kuluus se ham etabaar karate hai.n

galii ke baahar tamaam ma.nzar badal gaye the
jo saayaa-e-kuu-e-yaar utaraa
to mai.nne dekhaa, to mai.nne dekhaa

khumaar-e-may me.n wo cheharaa kuchh aur lag rahaa thaa
dam-e-sahar jab khumaar utaraa
to mai.nne dekhaa, to mai.nne dekhaa

ik aur dariyaa kaa saamanaa thaa 'muniir' mujhako
mai.n ek dariyaa ke paar utaraa
to mai.nne dekhaa, to mai.nne dekhaa

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image