Browse songs by

chalii kaun se desh gujariyaa tuu saj\-dhaj ke

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

t: chalii kaunase desh gujariyaa tuu saj-dhaj ke - 2
A: jaauu.N piyaa ke desh o rasiyaa mai.n saj-dhaj ke - 2
t: chalii kaunase desh gujariyA tuu saj-dhaj ke

t: chhalake.n maat-pitaa kI a.Nkhiyaa.N
rove tere bachapan kii sakhiyaa.n
bhaiyaa kare pukaar ho
bhaiyaa kare pukaar nA jaa ghar-aa.ngan taj ke
A: jaauu.N piyaa ke desh o rasiyaa mai.n saj-dhaj ke
t: chalii kaunase desh gujariyaa tuu saj-dhaj ke

A: duur desh mere pii kii nazariyA
vo unakii mai.n unakii sa.nvariyaa
baa.ndhii lagan kii Dor ho
baa.ndhii lagan kii Dor mai.nne sab soch-samajhake
jaauu.N piyaa ke desh o rasiyaa mai.n saj-dhaj ke
t: chalii kaunase desh gujariyaa tuu saj-dhaj ke

ta: do din jag me.n dhuum machaaye.n
jaa ke koii vapas na aaye
khoj khoj thak jaaye.n ho
khoj khoj thak jaaye.n do nainaa chaa.Nd suraj ke
A: jaauu.N piyaa ke desh o rasiyaa mai.n saj-dhaj ke
t: chalii kaunase desh gujariyaa tuu saj-dhaj ke

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits: Satish Kalra
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image