bulabulo mat ro yahaa.N aa.Nsuu bahaanaa hai manaa
- Movie: Zeenat
- Singer(s): Noorjahan
- Music Director: Hafiz Khan
- Lyricist:
- Actors/Actresses: Noorjahan
- Year/Decade: 1945, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
bulabulo mat ro yahaa.N aa.Nsuu bahaanaa hai manaa
in qafas ke qaidiyo.n ko Gul machaanaa hai manaa
chho.D kar tuufaa.N me.n ye mallaah kah kar chal diyaa
Duub jaa majhadhaar me.n saahil pe aanaa hai manaa
mai.n huu.N vo fariyaad jis kaa sunane vaalaa chal basaa
mai.n huu.N vo aa.Nsuu jise daaman pe aanaa hai manaa
Comments/Credits:
% Transliterator: Nimish Pachapurkar % Credits: GEETanjali- 5 September 2002