Browse songs by

bujh gaye ... ham dard ke maaro.n kaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

bujh gaye Gam kii havaa se, pyaar ke jalate charaag
bevafaa_ii chaa.Nd ne kii, pa.D gayaa isame.n bhii daag

ham dad.r ke maaro.n kaa, itanaa hii fasaanaa hai
piine ko sharaab-e-Gam, dil gam kaa nishaanaa hai

(dil ek khilaunaa hai, taqadiir ke haatho.n me.n) - 2
takadiir ke haatho.n me.n
marane kii tamannaa hai, jiine kaa bahaanaa hai
ham dad.r ke maaro.n kaa, itanaa hii fasaanaa hai

(dete hai.n duaae.n ham) - 2, (duniyaa kii jafaao.n ko)- 2
kyo.n unako bhulaae.n ham, ab khud ko bhulaanaa hai
ham dad.r ke maaro.n kaa, itanaa hii fasaanaa hai

(ha.Ns ha.Ns ke bahaare.n to, shabanam ko rulaatii hai.n) - 2
shabanam ko rulaatii hai.n
aaj apanii muhabbat par, bagiyaa ko rulaanaa hai
ham dad.r ke maaro.n kaa, itanaa hii fasaanaa hai

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits Neha Desai
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image