Browse songs by

bR^indaavan kaa kR^ishhN kanhaiyaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

bR^indaavan kaa kR^ishhN kanhaiyaa
sab kii aa.Nkho.n kaa taaraa
man hii man kyo.n jale raadhikaa
mohan to hai sab kaa pyaaraa
bR^indaavan kaa kR^ishhN kanhaiyaa ...

jamanaa taT par nand kaa laalaa
jab jab raas rachaaye re
tan man Dole kaanhaa aisii
ba.nsii madhur bajaaye re
sudh-budh bhuulii kha.Dii gopiyaa.N
jaane kaisaa jaaduu Daaraa
bR^indaavan kaa kR^ishhN kanhaiyaa ...

ra.ng salonaa aisaa jaise
chhaa_ii ho ghaT saavan kii
ai rii mai.n to huii diivaanii
manamohan man bhaavan kii
tere kaaraN dekh baa.Nvare
chho.D diyaa mai.n ne jag saaraa
bR^indaavan kaa kR^ishhN kanhaiyaa ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image