bhuul jaa ai dil muhabbat kaa fasaanaa
- Movie: Khel
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Sajjad Hussain
- Lyricist: Shams Azimabadi
- Actors/Actresses: Nigar, Dev Anand, Hafeez Jahaan, Anwarm Murad
- Year/Decade: 1950, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

bhuul jaa ai dil muhabbat kaa fasaanaa
kisii se dil lagaanaa
phir na aayegaa palaT kar wo zamaanaa
wo sapanaa thaa suhaanaa
( yaad aatii hai.n tujhe ab
kyuu.N wo raate.n pyaar kii
aur wo baate.n pyaar kii ) -2
bhuul jaa ulafat ke miiThe giit gaanaa
wo sapanaa thaa suhaanaa
bhuul jaa ai dil muhabbat kaa fasaanaa
kisii se dil lagaanaa
teraa gulashan luT gayaa -2
teraa nasheman jal gayaa
haay jal gayaa
din Kushii kaa Dhal gayaa
ab wo gulashan hai naa ab wo aashiyaanaa
wo sapanaa thaa suhaanaa
bhuul jaa ai dil muhabbat kaa fasaanaa
kisii se dil lagaanaa
( ab to saari zindagii
aa.Nsuu bahaanaa hai tujhe
dil jalaanaa hai tujhe ) -2
ab kahaa.N qisamat me.n terii muskuraanaa
wo sapanaa thaa suhaanaa
bhuul jaa ai dil muhabbat kaa fasaanaa
kisii se dil lagaanaa
Comments/Credits:
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)
