bharii mahafil hai ... ye afasaanaa nahii.n hai
- Movie: Mehndi
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Ravi
- Lyricist: Qamil Rashid
- Actors/Actresses: Ajit, Veena, Jayshree
- Year/Decade: 1958, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
bharii mahafil hai aur ab ra.ng par mahafil bhii aayii hai
uThii hai huuq bhii dil se to dil hii me.n dabaayii hai
magar jab dil dukhaayaa hai to lab tak baat aayii hai
ye afasaanaa nahii.n ai sunanevaalo.n dil kii baate.n hai.n
siyaahii Gam kii hai vaise ba.Dii ra.ngiin raate.n hai.n
ye afasaanaa nahii.n hai ...
jo samajho to janaaze hai.n jo dekho to baraate.n hai.n
ye afasaanaa nahii.n hai ...
hai gustaaKii magar kahanaa hai kuchh duniyaa se, mardo.n se
shariifo.n manachalo.n mullaaho.n se avaaraagardo.n se
hai bepardaa magar taane diye jaate hai.n pardo.n se
ye afasaana nahii.n hai ...
jo sach puuchho tumhii.n mardo.n ne ye koThe sajaaye hai.n
hasii.n baazaar tumane apne haatho.n se lagaaye hai.n
tumhaarii hii badaulat ham bhii is mahafil me.n aaye hai.n
ye afasaana nahii.n hai ...
ye kyaa duniyaa hai ham se har gha.Dii nafarat jataatii hai
buraa kahatii hai ham ko phir buraa_ii karane jaatii hai
hame.n duniyaa kii is be-gairatii par sharm aatii hai
ye afasaana nahii.n ai sunanevaalo.n dil kii baate.n hai.n
siyaahii Gam kii hai vaise ba.Dii ra.ngiin raate.n hai
ye afasaana nahii.n hai ...
tum apni biwiyon ko chhodkar koThon pe jaate ho
tum apne ghar ki daulat ko wahaan jaaker lutaate ho
khushaamadi *naazubaldaari* par tum jooti bhi khaate ho
khushaamadi *naazubaldaari* par tum jooti bhi khaate ho
ye afsaana nahii.nhai
jo samjho thaap tabaley ki to ye munh par tamaache hai
ye saarangi ke taaron par dilon ke taar bajate hain
yahan insaaniyat khud naachti hai ham nachaate hain
ye afsaana nahii.nhai
ye jo koThe ki mallika hai ye jo koocho ki raani hai
jo paDh sakte ho paDh lo ye tumhaari hi kahaani hai
jo paDh sakte ho paDh lo ye tumhaari hi kahaani hai
samaaj-o-kaum ki be-aabrooyi ki nishaani hai
samaaj-o-kaum ki be-aabrooyi ki nishaani hai
ye afsaana nahii.nhai
arey o zindagi ke Thekedaaron kuchh to sharmaao
uThaakar husn ka bazaar apne ghar me.n le jaao
arey o zindagi ke Thekedaaron kuchh to sharmaao
uThaakar husn ka bazaar apne ghar me.n le jaao
sahara do
sahara do aur inko ma behen beti kehalwaao
sahara do
sahara do aur inko ma behen beti kehalwaao
ye afsaana nahii.nhai
ye afsaana nahii.naiye sunanewaalo dil ki baate.n hain
siyaahi gham ki hai waise badi rangeen raate.n hai
ye afsaana nahii.nhai
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: Ketan Dholakia