Browse songs by

bhaarat kii ek sannaarii kii ham kathaa sunaate hai.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

bhaarat kii ek sannaarii kii
ham kathaa sunaate hai.n -2
mithalaa kii raajadulaarii kii
ham vyathaa sunaate hai.n -2
bhaarat kii ek sannaarii kii
ham kathaa sunaate hai.n -2

shivadhanuSh raam ne to.Daa -2
milaa chandra-chakor kaa jo.Daa -2
( janakapurii se to.Daa naataa
avadhapurii se jo.Daa ) -2
komal thii wo kalii
sukho.n me.n palii
wano.n me.n chalii
bahot dukh paa_ii
sun kar usakii vyathaa
nain bhar aate hai.n
ham kathaa sunaate hai.n -2
bhaarat kii ek sannaarii kii
ham kathaa sunaate hai.n -2

raawan ne chhal karii
siyaa ko harii
vidhii kyaa karii
jo thaa ban paa_ii

% the above line is "ashokavan paayii" as per Dushyant
% and "shok ban paa_ii" as per Surjit

siitaa-siitaa kare.n
birah me.n jare.n
bano.n me.n phire.n
vikal raghuraa_ii -2

% the song version at www.indianscreen.com ends here.

% Surjit's comments:
% In the movie, at this point mahaamantri says,
% band karo ye gaan
% Ram asks them to continue.

pawanaputra vahaa.N aaye -2
sudhi ko dhaaye
yukti bahu kiinhii.n
siyaa sudhi paa_ii
raam kop kar ba.Dhe
lank par cha.Dhe
phuu.Nk da_i lank
siyaa lauT aa_ii -3

jaise diye me.n tel
tel me.n baaT
baaT me.n tej prakaase
tase raam hR^iday me.n siyaa
siyaa hiye raama_ii baase
kyaa binaa praaN ke amar
dahii kahii.n dehii (?)
kyaa yahii raam darabaar
kahaa.N vaidehii -2

Comments/Credits:

			 % Transliterator:Srinivas Ganti
% Date:3 March 2002
% Editor: Pankaj Kakkar, naniwadekar

% Contributor of last two stanza: Dushyant Shah
% Date: 5 March 2002
% Transliterator & Editor: Surjit singh
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image