bedard zamaanaa teraa dushaman
- Movie: Mehndi
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Hemant Kumar
- Music Director: Ravi
- Lyricist: S H Bihari
- Actors/Actresses: Ajit, Veena, Kumar, Jayshree
- Year/Decade: 1958, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
he: musiibat kaa kiye jaa saamanaa
kaa.NTo.n pe chalataa jaa
agar ma.nzil pe jaanaa hai
to gir gir ke sa.mbhalataa jaa
% Part 1
he: (bedard zamaanaa teraa dushaman hai to kyaa hai
duniyaa me.n nahii.n jisakaa ko_ii usakaa Kudaa hai) - 2
(maalik hai vahii sab se ba.Daa paalanevaalaa) -2
chu.NTii ko bhii detaa hai jo khaane ko nivaalaa
bando.n pe hameshaa hii karam usakaa rahaa hai
duniyaa me.n nahii.n jisakaa ko_ii usakaa Kudaa hai ...
% Part 2
he: hazaaro.n kaaravaa.N luTe ga_e ma.nzil kii raaho.n me.n
jo Gam kaa saamanaa karataa gayaa ma.nzil pe vo pahu.Nchaa
he: (bedard zamaanaa teraa dushaman hai to kyaa hai
duniyaa me.n nahii.n jisakaa ko_ii usakaa Kudaa hai) - 2
la: ye kaisii Kudaa_ii hai bolo kaisaa Kudaa hai
luTatii hu_ii duniyaa jo merii dekh rahaa hai
mai.n kaise bhalaa maanuu.N ke duniyaa me.n Kudaa hai
agar hai to kahaa.N hai
he: izzat bhii bachii jaan bachii kaise ye bolo
vo kaun sii taaqat thii zaraa dil ko TaTolo
hai jisakaa karam ham pe usii se ye gilaa hai
duniyaa me.n nahii.n jisakaa ko_ii usakaa Kudaa hai ...
he: (kuchh kam nahii.n apane liye jiine ke sahaare) - 2
iimaan kii daulat hai abhii paas hamaare
ye aisaa sahaaraa hai jo har shah se ba.Daa hai
duniyaa me.n nahii.n jisakaa ko_ii usakaa Khudaa hai ...
do: (bedard zamaanaa teraa dushaman hai to kyaa hai
duniyaa me.n nahii.n jisakaa ko_ii usakaa Kudaa hai) - 2
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar % Comments: Hemantada... #60