Browse songs by

bas ke dushwaar hai har kaam kaa aasaa.n honaa - - Sumana Roy

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

bas ke dushwaar hai har kaam kaa aasaa.n honaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.n honaa

giriyaa chaahe hai Karaabii mere kaashaane kii
dar-o-diiwaar se Tapake hai biyaabaa.n honaa

% giriyaa = weeping; kaashaane= home

waa-e-diiwaanagii-e-shauq ke har dam mujhako
aap jaanaa udhar aur aap hii hairaa.N honaa

haif us chaar girah kapa.De kii qisamat Gaalib
jisakii qisamat me.n hai aashiq kaa garebaa.N honaa

Comments/Credits:

			 % transliterator: Animesh Kumar
% date: 28 Jun, 2003
% Credits: V S Rawat, Afzal A Khan, U V Ravindra
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image