Browse songs by

bas ke dushwaar hai har kaam kaa aasaa.n honaa - - Rafi

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

bas ke dushwaar hai har kaam kaa aasaa.n honaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.n honaa

giriyaa chaahe hai Karaabii mere kaashaane kii
dar-o-diiwaar se Tapake hai biyaabaa.n honaa

% giriyaa = weeping; kaashaane= home

isharat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaa.n honaa

% isharat = pleasure, delight; qatl-gaah: the site of the execution,
% shamashiir = sword
% uriyaa.n = bare, devoid.

kii mere qatl ke baad usane jafaa se taubaa
haay us zuud pashemaa.n kaa pashemaa.n honaa

% pashemaan = penitent; zuud = jaldii
% "zood~pashemaaN = (jald pashemaan ho jaane wala)
% One who starts ruing things all too soon. Used in a sarcastic sense

Comments/Credits:

			 % transliterator: Animesh Kumar
% series: Rafi Veritable Gems
% date: 28 Jun, 2003
% Credits: V S Rawat, Afzal A Khan, U V Ravindra
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image