ba.ngaal kii mai.n shaam\-o\-sahar dekh rahaa huu.N
- Movie: Kahkashaan (Non-film)
- Singer(s): Jagjit Singh
- Music Director: Jagjit Singh
- Lyricist: Jigar Moradabadi
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: unknown
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
ba.ngaal kii mai.n shaam-o-sahar dekh rahaa huu.N
har-chand ke huu.N duur magar dekh rahaa huu.N
iflaas kii maarii hu_ii maKaluuq sar-e-raah
be-gor-o-qafan Kaak basar dekh rahaa huu.N
insaan ke hote huye insaan ka ye hashr
dekhaa nahii.n jaataa hai magar dekh rahaa huu.N
rahamat kaa chamakane ko hai phir nayyar-e-taabaa.N
hone ko hai is shab kii sahar dekh rahaa huu.N
Comments/Credits:
% Transliterator: V S Rawat % Credits: Afzal A Khan % Date: 10 Aug 2004