badalii badalii duniyaa hai merii
- Movie: Sangeet Samrat Tansen
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor
- Music Director: S N Tripathi
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Bharat Bhushan, Anita Guha
- Year/Decade: 1962, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
ma: badalii badalii duniyaa hai merii
jaaduu hai ye kyaa tere nainan kaa
la:
la: kahatii thii sadaa dilakii dha.Dakan -2
tuu baiTh bichhaake apane nayan
sachchii hai agar ye terii lagan
lauT aaegaa saathii jiivan kaa
ma/la: badalii badalii duniyaa ...
ma: mere giito.n ke cha.nchal svar -2
aae ho.nge baadal banakar
barase ho.nge is aa.Ngan par
deke sa.ndes mere man kaa
ma/la: badalii badalii duniyaa ...
la: is raat ko chaa.Nd tale ye milan
ma/la: is raat ko chaa.Nd tale ye milan
la: chup dekh rahaa hai niil gagan
ma/la: dauharaayegaa ye mad-mast pavan
sa.ngiit hamaarii dha.Dakan kaa
ma/la: badalii badalii duniyaa ...
Comments/Credits:
% Transliterator: Rajiv Shridhar% Date: 08/09/1995 % Credits: Ashok Dhareshwar % Editor: Rajiv Shridhar % Last modified: 06/04/1996