are dekhii zamaane kii yaarii
- Movie: Kaagaz Ke Phool
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: S D Burman
- Lyricist: Kaifi Azmi
- Actors/Actresses: Guru Dutt, Waheeda Rehman, Johnny Walker, Meenu Mumtaz, Veena, Baby Naaz, Mahesh Kaul
- Year/Decade: 1959, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
are dekhii zamaane kii yaarii
bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii
kyaa le ke mile.n ab duniyaa se, aa.NsU ke sivaa kuchh paas nahii.n
yaa phUl hI phUl the daaman me.n, yaa kaa.NTo.n kii bhii aas nahii.n
matalab kii duniyaa hai saarii
bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii
vaqt hai maharabaa.n, aarazU hai javaa.n
fikr kal kii kare.n, itanii fursat kahaa.N
daur ye chalataa rahe ra.ng uchhalataa rahe
ruup machalataa rahe, jaam badalataa rahe
raat bhar mahamaa.N hai.n bahaare.n yahaa.N
raat gar Dhal gayii phir ye khushiyaa.N kahaa.N
pal bhar kii khushiyaa.N hai.n saarii
ba.Dhane lagii beqaraarii ba.Dhane lagii beqaraarii
are dekhii zamaane kii yaarii
bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii
u.D jaa u.D jaa pyaase bha.Nvare, ras naa milegaa Kaaro.n me.n
kaagaz ke phUl jahaa.N khilate hai.n, baiTh naa un gulazaaro me.n
naadAn tamannaa retii me.n, ummId kI kashtii khetii hai
ik haath se detii hai duniyaa, sau haatho.n se letii hai
ye khel hai kab se jaarii
bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii
Comments/Credits:
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: U V Ravindra