Browse songs by

apanii tasviir ko aa.Nkho.n se lagaataa kyaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

apanii tasviir ko aa.Nkho.n se lagaataa kyaa hai
ik nazar merii taraf bhii teraa jaataa kyaa hai

merii rusvaa_ii me.n wo bhii hai.n baraabar ke shariiq
mere qisse mere yaaro.n ko sunaataa kyaa hai

paas rah kar bhii na pahachaan sakaa tuu mujhako
duur se dekh ke ab haath hilaataa kyaa hai

umr bhar apane girebaa.N se ulajhane waale
tuu mujhe mere hii saaye se Daraataa kyaa hai

mai.n teraa kuchh bhii nahii.n huu.N magar itanaa to bataa
dekh kar mujhako tere zahan me.n aataa kyaa hai

% not in the version I heard

safar-e-shauq me.n kyuu.N kaa.Npate hai.n paa.Nv tere
duur se dekh ke ab haath hilaataa kyaa hai

mar gaye pyaas ke maare to uThaa abr-e-karam
bujh ga_ii bazm to ab shammaa jalaataa kyaa hai

Comments/Credits:

			 % This is also in "The Best of Ghulam Ali".
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image