Browse songs by

apanaa to zamaane me.n itanaa hii fasaanaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

apanaa to zamaane me.n itanaa hii fasaanaa hai
kuchh ham bhii diivaane hai.n kuchh dil bhii diivaanaa hai

hamase to ko_ii puuchhe vo mast nazar kyaa hai -2
jiine kaa sahaaraa hai marane kaa bahaanaa hai
kuchh ham bhii diivaane ...

bhuule se kabhii hamane qaatil na kahaa unako
dil jinakii adaa_o.n kaa Kaamosh nishaanaa hai
apanaa to zamaane ...

ye raaz hai ulfat kaa duniyaa ise kyaa jaane
nazaro.n kaa churaanaa hii nazaro.n kaa milaanaa hai
apanaa to zamaane ...

ma.nzil kahaa.N hai ai dil ham ishq ke maaro.n kii
ham jaa ke jahaa.N baiThe vahii.n apanaa Thikaanaa hai
apanaa to zamaane ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image