Browse songs by

a.Ndho.n pe dayaa karanaa daataa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

a.Ndho.n pe dayaa karanaa daataa
apanii aa.Nkho.N kii tumako qasam
is jholii ko bharanaa daata
apanii aa.Nkho.N kii tumako qasam

(chhin jaatii hai jinakii ye jyotii
rah jaate hai.n thokar khaane ko)-2
luT jaatii hai unakii sab khushiyaa.N
(Gam rahataa hai dil bahalaane ko)-2
a.Ndho.n pe dayaa karanaa daataa ...

(hamase na churaao na yuu.N aa.Nkhe.n
is dharatii kii hii sa.ntaan hai.n ham)-2
mohataaj sahii laachaar sahii
(phir bhii to are inasaan hai.n ham)-2
a.Ndho.n pe dayaa karanaa daataa ...

(ai maalik tuu apanii duniyaa me.n
kisii bande ko yuu.N majabuur na kar)-2
dene ko to de de har dukha.Daa
ye aa.Nkhe.n magar benuur na kar
a.Ndho.n pe dayaa karanaa daataa ...

Comments/Credits:

			 % Commnets : LATAnjali series
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image