ambuvaa pe gaa_e koyaliyaa gaane
- Movie: Pagdandi
- Singer(s): Zeenat Begum
- Music Director: Khurshid Anwar
- Lyricist: D N Madhok
- Actors/Actresses: Om Prakash, Akhtar, Gyani, Padma
- Year/Decade: 1947, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
( ambuvaa pe gaa_e koyaliyaa gaane
aa more baalam kisii bahaane ) -2
( mai.n majabuur bha_ii dil majabuur meraa
tohe mai.n pyaar karuu.N itanaa qusuur meraa ) -2
laakh manaa_uu.N jiyaa na maane -2
aa more baalam kisii bahaane
ambuvaa pe gaa_e koyaliyaa gaane
aa more baalam kisii bahaane
( jabase milaaye nainaa baalam tose
kachhu naahii.n suujhe ma_ikaa kachhuu na bane hai mose ) -2
raat-din jiyaraa lagaa sataane -2
aa more baalam kisii bahaane
ambuvaa pe gaa_e koyaliyaa gaane
aa more baalam kisii bahaane
ambuvaa pe gaa_e koyaliyaa gaane
aa more baalam kisii bahaane
Comments/Credits:
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/