ajii o taash ke baavan patte ... mai.n to luT gayaa raam duhaa_ii
- Movie: Tamanna
- Singer(s): Mukesh
- Music Director: Kalyanji, Anandji
- Lyricist: Anand Bakshi
- Actors/Actresses: Shashikala, Agha, Deven Verma, Mala Sinha, Biswajeet
- Year/Decade: 1969, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
ajii o taash ke baavan patte pa.nje chhakke satte
sab ke sab harajaa_ii mai.n to luT gayaa
mai.n to luT gayaa raam duhaa_ii -2
taash ke baavan ...
daan yatiimo.n ko detaa to daanii mai.n kahalaataa
Kush ho jaatii biivii jo usake gahane banavaataa -2
maine kaaGaz kii begam se kaahe aa.Nkh la.Daa_ii
mai.n to luT gayaa ...
apane dil kaa chain bhii haaraa aur daulat bhii haarii
maalik ne i.nsaan banaayaa mai.n ban gayaa ju_aarii -2
galii-galii me.n ho ga_ii yaaro.n aaj merii rusavaa_ii
mai.n to luT gayaa ...