ai duniyaa zaraa sun le hamaarii bhii kahaanii
- Movie: Kamla
- Singer(s): Chorus, Manna De, Amirbai
- Music Director: Gyan Dutt
- Lyricist: Neelkanth Tiwari
- Actors/Actresses: Agha, Nandrekar, Leela Desai
- Year/Decade: 1946, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
ai duniyaa zaraa sun le hamaarii bhii kahaanii
bhaarat ke Gariibo.n kii ye puradard kahaanii
dekho to haDDiyo.n kaa Dhaa.Nchaa hai in ke tan kaa
tan par hai ek kapa.Daa sa.Date hue kafan kaa
rahane ko ek ga.ndii TuuTii sii jho.npaDii hai
jaise ki qabr koii mu.Nh khol ro pa.Dii hai
inakii yah zindagii hai kyaa aa.Nkho.n kaa hai paanii
bhaarat ke Gariibo.n kii ...
bhuukhe hai.n inake bachche, na.nge hai.n inake bachche
rote ta.Dap ta.Dap kar, nanhe.n se inake bachche
gar inakii maa.N vaa bahane.n, saa.Dii jo ek pahane.n
chalatii hai.n marane tak wah, jaatii chitaa me.n jalane
mar mar ke jii rahe hai.n ye, hai inakii kahaanii
bhaarat ke Gariibo.n kii ...
dhuue.Nkii badaliyaa.n jo mil se nikal rahii hai.n
mazaduur kii ye aahe.n, dil se nikal rahii hai.n
laakho-karo.Do.n bhaaii jo karate hai.n kisaanii
kheto.n me.n ro rahii hai haaye unakii jawaanii
kheto.n me.n ro rahii hai unakii bhuukhii jawaanii
bhaarat ke Gariibo.n kii ...
% next stanza is not present on 78 and is taken
% from the film's booklet
jaagoo ai bhaaii! Da.nkaa zaraa aaj bajaa do
mahalo.n ko jho.npa.Dii ke tale aaj jhukaa do
tum bhii to ho insaan ye duniyaa ko bataa do
zulm karane waalo.n ko Thokar se u.Daa do
baakii na rahe zaalimo.n kii koii nishaanii
bhaarat ke Gariibo.n kii ...
Comments/Credits:
% Date : 16 Nov 2004 % Comments : Geetanjali Series % film - kamalaa. Laxmi Productions.