ai baadal jhuum ke chal
- Movie: Naadaan
- Singer(s): Mukesh
- Music Director: Shankar, Jaikishan
- Lyricist: Hasrat Jaipuri
- Actors/Actresses: Helen, Nirupa Roy, Asha Parekh, Navin Nishchal
- Year/Decade: 1971, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
( ai baadal ) -2 jhuum ke chal
zamii.n ko chuum ke chal
mausam mahakaa-mahakaa hai
dil bahakaa-bahakaa jaa_e
ai baadal jhuum ke ...
chal -5
kyaa ra.ng-ra.ngiilii vaadii hai
ye dhuup chamakatii chaa.Ndii hai
is apane vatan se ho is apane vatan se
ik priit kii Dorii baa.Ndhii hai
haay ai baadal jhuum ke ...
jho.nkaa jo havaa kaa aataa hai
Kushbuu ko churaakar laataa hai
titalii bhii Dole o bha.Nvaraa bhii bole
jharanaa bhii taraane gaataa hai
haay ai baadal jhuum ke ...