Browse songs by

ab to nahii.n duniyaa me.n kahii.n apanaa Thikaanaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ab to nahii.n duniyaa me.n kahii.n apanaa Thikaanaa
dushman hai zamaanaa
ab kis se kahe.n, kaun sune apanaa fasaanaa,
dushman hai zamaanaa

maanaa ke har ek tarah se laachaar hue hai.n
sab kaam hamaare liye dushvaar hue hai.n
lekin kabhii sadamo.n se Dare hai.n, na Dare.nge
sab sahate rahe.nge
ban jaaye.nge taqadiir ke tiiro.n kaa nishaanaa
dushman hai zamaanaa

(aae_gaa agar jii me.n ki roye.n to ha.Nse.nge)2
is tarah jiye.nge
soyii hu_ii taqadiir ko aataa hai jagaanaa,
dushman hai zamaanaa

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Nimish Pachapurkar
% Comments: NOOR-E-TARANNUM Series #12
% Date: 16 October 2002
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image