aap kahe.n aur ham na aaye.n
- Movie: Des Pardes
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Rajesh Roshan
- Lyricist: Amit Khanna
- Actors/Actresses: Rajesh Khanna, Tina Munim, Indrani Mukherjee
- Year/Decade: 1978, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

aap kahe.n aur ham na aaye.n, aise to haalaat nahii.n
ma.Nzil pe pahu.Nche.nge kaise, aapakaa jab tak saath nahii.n
aap kahe.n aur ham na aaye.n, aise to haalaat nahii.n
chaahane vaalo.n ke aaj duniyaa me.n chaahane vaale aa ga_e
ulfat kii may aa.Nkho.n se lo aaj pii lene vaale aa ga_e
aap pii_e.n aur aap na jhuume.n
ma.Nzil pe pahu.Nche.nge kaise aapakaa jab tak saath nahii.n
kasaa huaa hai tiir husn kaa, zaraa sambhalake rahiyegaa
nazar nazar ko maaregii, to kaatil hame.n na kahiyegaa
chaal chalii hai sochake hamane is khel me.n apanii maat nahii.n
paas aake ye aapake hame.n hone lagaa ehasaas hai
dam hai to bas aapake damase aap hii se saa.Ns hai
bayaan kare.n jo haal-e-dil ko aise koii jazbaat nahii.n
aap kahe.n aur ham na aaye.n, aise to haalaat nahii.n
ma.Nzil pe pahu.Nche.nge kaise, aapakaa jab tak saath nahii.n
aap kahe.n aur ham na aaye.n, aise to haalaat nahii.n
Comments/Credits:
% Transliterator: Rajiv Shridhar% Date: 07/12/1995 % Credits: Rahul Shridhar % Prince Kohli % Anand Tiwari
