aa_o sakhii ... mere piyaa ko Dhuu.ND ke laa_o sakhii
- Movie: Ghunghat (Pakistani-Film)
- Singer(s): Noorjahan
- Music Director: Khursheed Anwar
- Lyricist: Faiz Ahmed Faiz
- Actors/Actresses: Nayyar Sultana
- Year/Decade: 1962, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
aa_o sakhii is dukhiyaa man kii,aa kar dhiir ba.ndhaao rii
jaane piyaa kis des sidhare unakaa khoj lagaao rii
mere piyaa ko Dhuu.ND ke laa_o sakhii
ko_ii piyaa ko Dhuu.ND ke laa_o sakhii
jaane kahaa.N vo kho ga_e
haa.N, kis bairan ke ho ga_e
pal bhar pii kaa mukha.Daa dekhaa kaalii rain huii ujayarii
shahb dikhalaa ke Duubaa cha.Ndaa bintii kar kar haarii, re
ko_ii unakii suuratiyaa dikhaao sakhii
mere piyaa ko Dhuu.ND ke laao sakhii
jaane kahaa.N vo kho ga_e
haa.N , kis bairan ke ho ga_e
chhaa_ii chaaro.N or udaasii manavaa pal pal unhai.N
are
birhaa agan me.n jal marne ko saiyaa.N cho.D sidhare
ko_ii unako manaa kar laa_o sakhii
mere piyaa ko Dhuu.ND ke laao sakhii
jaane kahaa.N vo kho ga_e
haaN , kis bairan ke ho ga_e
Comments/Credits:
% Transliterator: Urzung Khan % Comments: NOOR-E-TARANNUM # 7