aa_o bachcho ... ek raaje kaa beTaa
- Movie: President/ Badi Bahan
- Singer(s): K L Saigal
- Music Director: R C Boral
- Lyricist:
- Actors/Actresses: K L Saigal, Leela Desai, Kamlesh Kumari
- Year/Decade: 1937, 1930s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
##hello##
aa_o bachcho
tumhe.n ek kahaanii sunaa_uu.N
ek thaa raaje kaa beTaa
baiThe-baiThe
usake dil me.n
sair kii dhun samaa_ii
cha.Dh baiThaa u.Dhane gho.De par
aur usako e.D lagaa_ii
Kuub thakaa jab u.Date-u.Date
tab gho.De kaa mu.Nh pheraa
ghanii chhaa.Nb dekhii jis jaa
us jaa par Daalaa Deraa
itane me.n ik pariyo.n kii shahajaadii us jaa aa_ii
raaje ke beTe sa.ng khele
yahii usake man bhaa_ii
achchhaa
ab yahii kahaanii gaa kar tumhe.n sunaataa huu.N
ek raaje beTaa le kar u.Dane waalaa gho.Daa -2
desh-desh kii sair kii Kaatir apane ghar se nikalaa -2
u.Date-u.Date chalate-chalate thake jo usake paa.Nv -2
to ik jaa par baiTh gayaa wo dekh ke ThaNDii chhaa.Nv -2
itane me.n honii ne apanii ba.nsii vahaa.N bajaa_ii -2
jisako sun kar pariyo.n kii shahajaadii dau.Dii aa_Ii -2
achchhaa bachcho.n
jaanate ho usake baad kyaa hu_aa
usake baad bahot der tak aapas me.n dono.n jii bhar kar khele
dono.n ne khaaye mil-jul kar seb anaar aur kele
achchhaa bachcho.n
agar tumhe wo shahajaadii mil jaaye
to usake saath kheloge
% the above spoken as a question
wo bachcho.n ko ba.Dii umdaa-umdaa chiize.n khilaatii hai
kaho haa.N
##laugh##
Comments/Credits:
% Credits: U.V. Ravindra