aa.Nkho.n me.n basaayaa thaa
- Movie: Takkar
- Singer(s): Kumar Sanu
- Music Director: Anu Malik
- Lyricist: Maya Govind
- Actors/Actresses: Sunil Shetty, Naseeruddin Shah, Deepti Bhatnagar
- Year/Decade: 1995, 1990s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

hai e ho o
aa.nkho.n me.n basaayaa thaa
(aa.nkho.n me.n basaayaa thaa, tumhe.n dil me.n chhupaayaa thaa
aa.nkho.n me.n basaayaa thaa, tumhe.n dil me.n chhupaayaa thaa
jab chaahuu.N tumhe.n dekhuu.N, aaiinaa banaayaa thaa) -2
aa.nkho.n me.n basaayaa thaa, tumhe.n dil me.n chhupaayaa thaa
aa.Nkho.n me.n andheraa hai, vIraanaa seharaa hai
naa jaane meraa vo chaa.nd, kis shahar me.n utaraa hai
jIne kaa bataa tU hii, ab kyaa aramaan karuu.n
mar jaane kaa ai dil, koii saamaan karuu.n
ik saath jiye.nge ham
(ik saath jiye.nge ham, kyo.n khvaab dikhaayaa thaa) - 2
jab chaahuu.N dekhuu.N, aa_iinaa banaayaa thaa
kyaa jaan sakoge tum din kaise guzarataa hai
ik pal bhii nahii gujare, haa.n aise guzarataa hai
naa chain hii aataa hai, naa nii.nd hii aatii hai
terii yaad aatii hai, aakar ta.Dapaatii hai
mai.nne to tujhe jaanam
maine to tujhe jaanam palako.n pe biThaayaa thaa - 2
jab chaahuu.N dekhuu.N, aa_iinaa banaayaa thaa
hai e ho o
aa.nkho.n me.n basaayaa thaa
(aa.nkho.n me.n basaayaa thaa, tumhe.n dil me.n chhupaayaa thaa
aa.nkho.n me.n basaayaa thaa, tumhe.n dil me.n chhupaayaa thaa
jab chaahuu.N tumhe.n dekhuu.N, aaiinaa banaayaa thaa ) - 2
Comments/Credits:
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
