aaj kii mulaakaat bas itanii
- Movie: Bharosa
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor
- Music Director: Ravi
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Guru Dutt, Asha Parekh
- Year/Decade: 1963, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
f: aaj kii mulaakaat bas itanii,
kar lenaa baate.n kal chaahe jitanii
m: achchhii nahii.n hotI hai zid itanii,
dekho hame.n tumase hai priit kitanii
f: pyaar jo kiyaa hai jataate ho kyuu.n,
baat aisii hoTho.n pe laate ho kyuu.n
m: aur ham jo puuchhe.n sataate ho kyuu.n,
abhii abhii aaye abhii jaate ho kyuu.n
m: kabhii kabhii aise bhii aayaa karo
chaa.Nd nikale to ghar jaayaa karo
f: aaye.nge jaaye.nge marazii se ham
pyaar hai to naaz bhI uThaayaa karo
m: Thaharo mai.n dil ko sambhaaluu.n zaraa
palako.n me.n tumako chhupaa luu.n zaraa
f: samajhe nA ab tak mohabbat hai kyaa
aao tumhe ye bhii samajhaa duu.n zaraa
Comments/Credits:
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)