aaj hu_ii hai bhor suhaanii pahalii baar
- Movie: Arabian Nights
- Singer(s): Kanan Devi
- Music Director: Kamal Dasgupta
- Lyricist: Fayyaz Hashmi
- Actors/Actresses: Kanan Devi, Nawab, Robin Majumdar, Devi Mukherji
- Year/Decade: 1946, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
aaj hu_ii hai bhor suhaanii
bhor suhaanii
aaj hu_ii hai bhor suhaanii pahalii baar pahalii baar -2
chamak bharii ye laalii mai.nne mai.nne kabhii na dekhii -2
din ko ye diiwaalii mai.nne mai.nne kabhii na dekhii
suuraj me.n hai
suuraj me.n hai na_ii jawaanii pahalii baar pahalii baar
sau phuul khile shaaKo.n ke ye husn kabhii naa paaye -2
sau ra.ng chaman ne badalaa ye ra.ng nazar naa aaye -2
baaG me.n aayii
baaG me.n aayii rut kii raanii pahalii baar paahlii baar
bha.nwaraa aur kalii kaa mel mujhako sakhii na bhaayaa -2
gulashan me.n ye pyaar kaa khel mujhako kabhii na bhaayaa
na_ii lagii hai
na_ii lagii hai baat puraanii pahalii baar paahlii baar
aaj hu_ii hai bhor suhaanii pahalii baar pahalii baar