Browse songs by

aa jaao ta.Dapate hai.n aramaa.N

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

aa jaao ta.Dapate hai.n aramaa.N, ab raat guzarane vaalii hai
ab raat guzarane vaalii hai
mai.n ro_uu.N yahaa.N tum chup ho vahaa.N
ab raat guzarane vaalii hai - 2
aa jaao ...

o ... chaa.Nd kii ra.ngat u.Dane lagii
lo taaro.n ke dil ab Duub gae, Duub gae
hai dard bharaa bechain samaa.n, ab raat guzarane vaalii hai
ab raat guzarane vaalii hai

ik chaa.Nd ke Dole me.n aayii nazar
ye chaa.Nd kii dulhan chal dii kidhar, chal dii kidhar
aavaaz to do khoye ho kahaa.N, ab raat guzarane vaalii hai
ab raat guzarane vaalii hai

ghabaraa ke nazar bhii haar gayii
taqadiir ko bhii nii.nd aane lagii, nii.nd aane lagii
tum aate nahii.n, mai.n jaa_uu.N kahaa.N, ab raat guzarane vaalii hai
ab raat guzarane vaalii hai

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
%          Urzung Khan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image