aa jaa balamaa rain a.ndherii Dar laage
- Movie: Parwana
- Singer(s): Suraiyya
- Music Director: Khurshid Anwar
- Lyricist: D N Madhok
- Actors/Actresses: Suraiyya, K L Saigal
- Year/Decade: 1947, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
aa jaa balamaa rain a.ndherii Dar laage -2
dukhiyaa jiyaa pukaare kit bhaage
ho kit bhaage
aa jaa balamaa rain a.ndherii Dar laage -2
( suunii sej mohe ni.ndiyaa naa aaye
tum bin paapii jiyaa moraa chal nahii.n paaye ) -2
sab jag soye ek meraa jobanaa jaage
aa jaa balamaa rain a.ndherii Dar laage -2
ho teraa dil bhii kisii pe aaye re -2
aur nikale labo.n se haay re haay re -2
yahii aa ke chau.nk-chau.nk ke ye kahaa karo
abhii sapano.n me.n aaye the abhii ho bhaage
aa jaa balamaa rain a.ndherii Dar laage -2
dukhiyaa jiyaa pukaare kit bhaage
ho kit bhaage
aa jaa balamaa rain a.ndherii Dar laage -2
Comments/Credits:
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)