Browse songs by

aa jaa aaii bahaar dil hai beqaraar

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

aa jaa aaii bahaar, dil hai beqaraar
o mere raajakumaar, tere bin rahaa na jaae
aa jaa aaii bahaar, dil hai beqaraar
o mere raajakumaar, tere bin rahaa na jaae
aa jaa

julfo.n se jab bhii, chale puravaaii (2)
tan meraa TuuTe (2)
aayI a.nga.Daaii (2)
dekhuu.N baar baar, teraa intazaar
o mere raajakumaar, tere bin rahaa na jaae
aa jaa aaii ...

man me sunuu mai.n, terii muraliyaa (2)
naachuu.N mai.n chham-chham (2)
baaje paayaliyaa (2)
dil kaa taar-taar, terii kare pukaar
o mere raajakumaar, tere bin rahaa na jaae
aa jaa aaii ...

jal kii machhariyaa, jal me hai pyaasii (2)
khushiyo.n ke din hai.n (2)
phir bhii udaasii (2)
lekar meraa pyaar, aa jaa ab ke baar
o mere raajakumaar, tere bin rahaa na jaae
aa jaa aaii ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image