1.      dekhna  qismat  ki aap  apne  pe  rashk  aajaaye hai
        maiN use; dekhooN, bhalaa kab mujhse dekha jaaye hai

        [ rashk = envy ]

2.      haath dho dil se yahee garmee gar andeshe meiN hai
        aabgeena  tundee-e-sahbaa   se  pighla  jaaye  hai

        [ andesha = suspicion, aabgeena = a crystal glass,
          tundee = heat, sahbaa = red wine ]

3.      GHair ko yaarab ! woh kyoNkar mana'a-e-gustaaKHee kare ?
        gar haya  bhee  usko  aatee  hai  to sharma  jaaye hai

4.      shauq ko ye lat ke hardam  naala KheeNche jaayiye
        dil ki woh haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai

5.      door chashm-e-bad ! teree bazm-e-tarab se waah-waah
        naGHma ho  jaata hai waaN  gar naala mera jaaye hai

        [ bad = wicked, tarab = joy, naala = lamentation ]

6.      GHarche hai tarz-e-taGHaaful, pardaadaar-e-raaz-e-ishq
        par ham  'eise  khoye jaate  haiN ki woh paa jaaye hai

        [ taGHaaful = negligence, pardaadar = one who puts on a veil ]

7.      uskee bazm_aaraaiyaaN sunkar dil-e-raNjoor yaaN
        misl-e-naqsh-e-muddaa-e-GHair baiTHa jaaye  hai

        [ aaraaiyaaN = decorations, raNjoor = sad/distressed, misl = record,
          naqsh = copy/print ]

8.      hoke aashiq woh  paree_ruKH aur naazuk ban gaya
        rang khulta jaaye hai, jitna ki uData jaaye hai

        [ paree_ruKH = angel faced ]

9.      naqsh  ko uske  musawwir  par bhee  kya-kya  naaz hai
        kheeNchta hai jis qadar, utana hee khiNchta jaaye hai

        [ naqsh = copy/print, musawwir = painter ]

10.     saaya meraa mujhse  misl-e-dood bhaage hai 'Asad'
        paas mujh aatish_bazaaN ke kisse Thahra jaaye hai

        [ misl-e-dood = like smoke ]

Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.