1.      nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
        kya  bane  baat jahaaN  baat  banaaye  na  bane

        [ nuktaacheeN = critic/sweetheart ]

2.      maiN bulaata to hooN  usko magar 'ei jazba-e-dil
        uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane

3.      khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay
        kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane

4.      GHair firta  hai liye yooN  tere KHat ko ki agar
        koee pooche ki yeh kya hai ? to chipaaye na bane

5.      is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya
        haaNth aaye to unhaiN haaNth lagaaye na  bane

        [ nazaakat = elegance ]

6.      keh sake kaun ki yeh jalwaa_garee kiskee hai
        parda choDa hai woh  usne ki uTHaaye na bane

        [ jalwaa_garee = manifestation ]

7.      maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe
        tumko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane

8.      bojh woh sar pe gira hai ki uTHaaye na uTHe
        kaam  woh aan paDa  hai, ki banaaye na bane

9.      ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish 'GHalib'
        ki  lagaaye  na  lage  aur  bujhaaye  na  bane

        [ aatish = fire ]

Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.