1.      husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
        us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal   achcha  hai

        [ mah = moon, KHursheed = sun, jamaal = beauty ]

2.      bosa  dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah
        jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai

        [ bosa = kiss ]

3.      aur   baazaar  se  le  aaye   agar  TooT  gaya
        saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai

        [ saaGHar-e-jam = Badshah Jamshed's cup, jaam-e-sifaal = clay cup ]

4.      be_talab  daiN to maza  usme  siwa  milta hai
        woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai

        [ be_talab = without any enquiry, gada = beggar, KHoo = habit ]

5.      unke dekhe se jo aa jaatee  hai muNh par raunaq
        woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai

6.      dekhiye  paate haiN  ushshaaq  butoN se kya faiz ?
        ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai

        [ ushshaaq = lovers, faiz = profit ]

7.      ham_suKHan  teshe  ne farhaad ko sheereeN  se kiya
        jis tarah ka bhee kisee meiN  ho kamaal achcha hai

        [ ham_suKHan = together, tesha = axe ]

8.      qatra  dariya  meiN  jo mil jaaye to dariya ho jaaye
        kaam  achchaa  hai  woh,  jiska  ma'aal  achcha  hai

        [ ma'aal = result ]

9.      KHijr SultaaN  ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz
        shaah ke baaGH meiN  yeh taaza nihaal achcha hai

        [ KHijr SultaaN = one of Badshah Zafar's son, KHaaliq = The Creator/
          God, akbar = greatest, sar_sabz = fertile, nihaal = tree ]

10.     hamko    ma'aloom    hai   jannat  ki  haqeeqat   lekin
        dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai


Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.