This is a GHazal by Ameer Minai (sung by Jagjit and Chitra Singh).
It is very similar to the following GHazal by GHalib:
	"meharbaaN ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt
	 maiN gayaa waqt nahiN hooN ke phir aa bhi na sakooN"

The confusion is caused by the fact that shers from both these 
GHazals were used by Jagjit and Chitra Singh in one of their
albums. In the words of U.V.Ravindra, the GHazal which "...has been
attributed [completely] to Ameer Minai in the Jagjit Chitra album is
actually a PAIR of hamradeef ghazals.  Jagjit and Chitra apparently
(used to) revel in singing this kind of due(t/l).  In this particular
case the pair of Ghazals is by Mirza Ghalib+Ameer Minai, with Jagjit
sing(h)ing [;-)] the Ameer Minai part and Chitra crooning along the
original Mirza Ghalib Ghazal."


Submitted by: U.V. Ravindra (uvr@tata_elxsi.soft.net),
-------------

	uski hasrat hai jise dil se miTaa bhi na sakooN
	DhooNDhne usko chalaa hoon jise paa bhi na sakooN
 
        [ hasrat = desire ]


	Daal kar KHaak mere KHoon pe qaatil ne kahaa
	kuch yeh mehndi nahiN meri ke miTaa bhi na sakooN

	zabt kam_baKHt ne aur aa ke galaa ghoNTaa hai
	ke use haal sunaaooN to sunaa bhi na sakooN

	[zabt = forbearance/"sahan-shakti]

	uske pahloo meiN jo lejaa ke sulaa dooN dil ko
	neeNd aisee use aaye ke jagaa bhi na sakooN

	[ pahloo = lap ]


Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.