zaKmo.n se kalejaa chuur huaa ... ye kyaa zi.ndagii hai
- Movie: Kohinoor
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Naushad
- Lyricist: Shakeel Badayuni
- Actors/Actresses: Dilip Kumar, Meena Kumari
- Year/Decade: 1960, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
zaKamo.n se kalejaa chuur huaa
had ho ga_ii Gam me.n naalo.n kii
kyaa huu.Nhii tabaahii hotii hai
duniyaa me.n mohabbat-vaalo.n kii
ye kyaa zi.ndagii hai, ye kaisaa jahaa.N hai -2
jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2
kahii.n hai kafas me.n kisiikaa baseraa
kahii.n hai nigaaho.n me.n Gam kaa a.ndheraa
kahii.n dil kaa luTataa huaa kaaravaa.n hai
jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2
yahaa.N aadamii aadamii kaa hai dushman
yahaa.N chaak inasaaniyat kaa hai daaman
mohabbat kaa uja.Daa huaa aashiyaa.n hai
jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2
ye beraham duniyaa samajh me.n na aae
yahaa.N kar rahe hai.n sitamaGar Kudaaii
na jaane tuu ai duniyaavaale kahaa.N hai
jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2
ye kyaa zi.ndagii hai, ye kaisaa jahaa.N hai
jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai
Comments/Credits:
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Sep 10, 1995 % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)