Browse songs by

uupar vaale teraa javaab nahii.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

uupar vaale -2
o uupar vaale teraa javaab nahii.n -2
kab de kyaa de hisaab nahii.n
ko : uupar vaale teraa javaab ...

ki : terii meharabaaniyo.n kaa javaab nahii.n
uupar vaale teraa javaab ...

mujhako biivii kaa pyaar diyaa
jannat jaisaa ghar-baar diyaa -2
la : har haal me.n Kush rahataa hai tuu
dariyaa kii tarah bahataa hai tuu
ki : o tuu nahii.n tum nahii.n aap mai.n
are do beTo.n kaa baap mai.n
isase ba.Daa ko_ii Kitaab nahii.n
uupar vaale teraa javaab ...

tuu ek haath se letaa hai to sau haatho.n se detaa hai -2
is dil ko di_e aramaan ba.De mujh par hai.n tere ehasaan ba.De
kuchh log hai.n juuto.n ko rote -2
kuchh logo.n ke paa.Nv nahii.n hote
meraa haal itanaa Karaab nahii.n
uupar vaale teraa javaab ...

taariif karuu.N terii kaise ka.Dakii me.n bhej di_e paise -2
himmat kaa mujhe paiGaam diyaa mehanat kaa mujhe iinaam diyaa
dukh-sukh saathii hai.n duniyaa me.n -2
phuulo.n-kaliyo.n kii bagiyaa me.n
kaa.NTe bhii hai sirf gulaab nahii.n
uupar vaale teraa javaab ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image