Browse songs by

terii chamakatii aa.Nkho.n ke aage

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

lataa: aa .a

talat: terii chamakatii aa.Nkho.n ke aage ye sitaare kuchh bhii nahii.n
lataa: tuu jo ba.Dhaa de haath zaraa, duniyaa ke sahaare kuchh bhii nahii.n

talat:
maan liyaa dilakash hai.n bahut, ye raat hasii.n ye chaa.Nd javaa.N
baat jo dekhii hai tujh me.n, nazaaro.n me.n vo baat kahaa.N
saamane mere tuu ho agar, duniyaa ke nazaare kuchh bhii nahii.n
terii chamakatii aa.Nkho.n ke ...

lataa:
saath hai mere tuu jab tak, roshan hai.n jiivan kii raahe.n
kyuu.N ho mujhe ma.nzil kaa Gam, patavaar hai.n jab terii baahe.n
maa.njhii hai gar tuu naiyyaa kaa, tuufaan ke dhaare kuchh bhii
nahii.n
talat:
terii chamakatii aa.Nkho.n ke ...

lataa: baa.Ndh liyaa ba.ndhan me.n tumhe.n, bas me.n kar liyaa bahaaro.n ko
talat: hai ye vo ba.ndhan jo kar de aazaad Gamo.n ke maaro.n ko
dono.n: pyaar kii tere chhaa.Nv mile to Gam ke sharaare kuchh bhii nahii.n
talat: terii chamakatii aa.Nkho.n ke ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Nimish Pachapurkar
% Date: Dec 7, 2002
% Series: GEETanjali
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image