Browse songs by

so gayaa saaraa zamaanaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

so gayaa saaraa zamaanaa nii.nd kyo.n aatii nahii.n
ai havaa jaakar use tuu saath kyo.n laatii nahii.n

chaa.Nd pahale bhii nikalataa thaa magar aisaa na thaa
aaj aisii baat kyo.n hai ye samajh aatii nahii.n

chaa.Ndanii kuchh chaa.Nd se kah kar zamii.n pe aa ga_ii
jaane kyaa dekhaa yahaa.N an lauT kar jaatii nahii.n

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Nita
% Date: 7 February 2000
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image