Browse songs by

sab kuchh karanaa is duniyaa me.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

aa : sab kuchh karanaa is duniyaa me.n
pyaar na karanaa bhuul ke
kabhii kisii se apanii aa.Nkhe.n
chaar na karanaa bhuul ke
jii pyaar na karanaa bhuul ke
es : sab kuchh kahanaa ye mat kahanaa
pyaar na karanaa bhuul ke
nazare.n milaa ke ulfat se
inkaar na karanaa bhuul ke
aa : jii pyaar na karanaa bhuul ke

aa : pyaar kiyaa thaa parawaane ne
shamaa ne usako jalaa diyaa
es : jalane kaa hii naam hai milanaa
pyaar ne unako milaa diyaa
aa : milane kii is riit ko tum
aKtyaar na karanaa bhuul ke
kabhii kisii se apanii aa.Nkhe.n
chaar na karanaa bhuul ke
jii pyaar na karanaa bhuul ke

pyaar karoge pachhataa_oge
ye duniyaa badanaam karegii
badanaam karegii
es : laakh kare badanaam mohabbat
apanaa uu.Nchaa naam karegii -2
aa : aise uu.Nche naam kaa tum
byopaar na karanaa bhuul ke
kabhii kisii se apanii aa.Nkhe.n
chaar na karanaa bhuul ke
jii pyaar na karanaa bhuul ke

es : pyaar kare.nge nahii.n Dare.nge
binaa pyaar ke duniyaa kyaa hai
duniyaa kyaa hai
aa : binaa pyaar kii duniyaa sachchii
pyaar kii duniyaa me.n dhokhaa hai
es : pyaar me.n dhokhe kii baate.n
sarakaar na karanaa bhuul se
aa : kabhii kisii se

es : sab kuchh kahanaa ye mat kahanaa
pyaar na karanaa bhuul ke
aa : nazare.n milaa ke ulfat se
inkaar na karanaa bhuul ke -2

do : sab kuchh kahanaa ye mat kahanaa
pyaar na karanaa bhuul ke
nazare.n milaa ke ulfat se
inkaar na karanaa bhuul ke -2

Comments/Credits:

			 % Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image